Sunday, July 10, 2011

Shayeri -3

1.
Kafi hai sapne dil ko behlaane ke liye,
Mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
Chahe bhale rakhna pade gam se vaasta
Ek dost rakhna sab gam bhulaane ke liye

2.
Jaam tutne ka bahana na kar
Ham to teri aakhon se bhi pi lenge
Tu mat aa, par aane ka waada to kar,
Hum tere intezaar mein hi ji lenge.

3.
Kafan naa pehnao mere chehre pe,
mujhe adat hai muskurane ki,
Na dafnao meri lash ko,
Mujhe abhi umeed hai uske aane kia

4.
Intezaar to bahut tha hamein
Lekin aye na woh kabhi
Ham to bin bulaye hi aa jate
Agar hota unhe bhi intezaar kabhi

5.
Tum milo na milo, milne ka gam nahi
Tum paas se gujar jao, yeh milne se kam nahi
Mana ke tumhe hamari kadar nahi
Par jara unse poochho, jinhe ham haasil nahi

6.
Koi ankhon ankhon mein baat kar leta hai
Koi ankhon ankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada mushkil hota hai jawaab dena jab koi
Khamosh reh kar sawaal kar leta hai!

7.
"Har karz dosti ka adaa kaun karega,
Hum hi nahi honge to dosti kaun karega,
Aey Khuda mere doston ko salaamat rakhna,
Warna mere jeene ki dua kaun karega..."

8.
Ho sakta hai ki baarish ke baad aasmaan neeli na ho,
Ho sakta hai ki dhoop ke baad sarson peeli na ho,
Magar ye kaise ho sakta hai ki,
Aapki yaad aaye aur aankhen geeli na ho....!"

9.
Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Phoolon ki har kali khushboo de aapko,
Hum toh kuch dene ke kaabil nahi
Dene wala har khushi de aapko

10.
Wo Dil hi kya jo tere milan ki dua na kare..
Main tujhko bhool kar jinda rahoon, khuda na kare..
Rahega tera pyaar mere saath, meri jindagi bankar..
Ye aur baat hai ki meri jindagi hi wafa na kare..

No comments:

Post a Comment