Tuesday, July 19, 2011

Shayeri - 4

1
Haathon ki lakeeron per khabhi bharosa nahin karna kyun ke,
Taqdeer tau unki bhi hoti hai jin ke haath nahin hotey!

2
Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai....

3
Aankhon pe aasoon ki lakir ban gai,
Kabhi na socha tha aisi takdir ban gai,
Humne to phirai thi reet mein ungliya,
Gaur se dekha to tumhari tasveer ban gai.....

4
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu……

5
Kise apna banayen, koi iss qabil nahin milta
Yahan patthar bahut milte hain, dil nahin milta
Yeh duniya farebon ki basti hai aye dost
Yaha sirf dard milte hain, Humdard nahin milta..

6
Hasna hamara kisi ko gawara nahin hota,
Har musafir jindagi ka sahara nahin hota,
Milte he bahut log is tanha jindagi mein,
Par koi dost tumsa pyara nahin hota

7
Yaad karte hai tumhe tanhai mein
Dil dooba hai ghamo ki gehrai mein,
Hamein mat dhoondo duniya ki bhid mein,
Hum millenge tumhe tumhari parchai mein

8
Paani mein patthar na maaro,
Koi aur bhi peeta hai,
Jindgi jeena hai to muskura ke jiyo,
Tumhe dekhkar koi aur bhi jeeta hai......!"

9
Suna hai nazar milaane se badi takleef hoti hai,
Suna hai dil lagane se badi takleef hoti hai,
Yoon to haal pe mere muskurate hai sabhi,
Par tere muskarane se badi takleef hoti hai.

10
Chand lamhe saath tere guzarna chahta tha
Taqdeer ke lakiro ko yun badalna chahata tha
Zamane ki gardish mein simat gayi zindagi meri
Warna main to tumhe apna banana chahata tha

No comments:

Post a Comment